
Tum pyaar kero iqrar kero,
Mujhay bhool jao ya mujhay yaad kero,
Mujhay dil main rekho ya nikaal do,
Main uff nahin kehun ga janan,
Khushian aur ghum sahun ga janan,
Mujhey apney rang main dhaal do,
Chahey mujh ko dil say nikaal do,
Chahey aankhon main basa key rekho,
Chahey aansu sa mujh ko nikaal do,
Main uff nahin kehun ga janan,
khushian aur ghum sahun ga janan,
Chahey seenay say tum laga lo mujh ko,
Chahey mujh ko tum thukra do,
Chahey galey main taveez bana ker daal lo,
Chahey kaante sa mujh ko nikaal do,
Main uff nahin kehun ga jaanan,
khushian aur ghum sahun ga janan,
Chahey pyar sa mujh ko pyaar do,
Chahe nafraton ka wabaal do,
Chahey piyaar se mujh ko dekh lo,
Chahe bura keh key taal do,
Main uff nahin kehun ga janan,
Khushian aur ghum sahun ga janan,
Chahey zindagee mujh ko bana lo tum,
Chahey maut key munh main daal do,
Main marney ke baad bhee ,
Uff nahin kahun ga janan,
Sach jaan!
4 U meri sweet jaan!!


No comments:
Post a Comment