
Kiss Qadar Anokha rabta hai Muhabbat ka,
Kab najane ho jaye mojza mohabbat ka,
apni zaat say bhee wo ajnabi sa lagta hai,
kiss key sath ho jaye hadsa mohabbat ka,
woh chala hee jata hai jiss nain jana hota hai,
lakh do chahe ussay wasta mohabbat ka,
zindagee main jenay ka rasta nahin rehta,
jab kisi say chinn jaye hosla mohabbat ka,
doston say wasi agar tumhain mohabbat hai,
doston ko mat dena mashwara mohabbat ka!!!


No comments:
Post a Comment